Aisa Nahi Ke HamAisa nahi ke haAisa nahi ke ham ko mohabbat nahi miliTumhain chahtay thay, per teri ulfat nahi miliMilnay ko zindagi mein tou kayi hamsafar milayPer un ki tabiyat se tabiyat nahi miliChehron mein dosron ke tujhe dhoondtay rahaySoorat nahi mili kaheen seerat nahi miliBohat dair se aaya tu mere paasAlfaaz dhoondnay ki bhi mohlat nahi miliTujh ko gila hai ke tawajja na di tujheLaikin ham ko tou khud apni mohabbat nahi miliHam ko tou teri har aadat achi lagi "faraz"Afsos ke tujh se meri aadat nahi mili
Hasti Ka Aitbaar KiyeHasti ka aitbaar kiyHasti ka aitbaar kiye bagair reh na jayeDuniya hai yahan par jiye bin raha na jayeKat'ti nahin yeh zindagi umeed ke bagairYeh jaam woh hai jis ko piye bin raha na jayeChahat ka zakhm dil ko tamasha na bana deAisa hai chaak jis ko siye bin rahaa na jayeDuniya ke is afshaar mein hai us ki yaad yoonAandhi ho tez aur diye bin raha na jayeIk simt tera hukam hai, ik simt kayenaatYeh bojh apne sir pe liye bin raha na jaye
Meri Saari Zindagi KoMeri saari zindagi kMeri saari zindagi ko besamar iss ne kiyaUmar meri thi magar, isko basar iss ne kiyaMain bahut kamzor tha iss mulq mein hijrat ke baadPar mujhe iss mulq mein kamzor'tar iss ne kiyaRehbar mera bana gumraah karne ke liyeMujhko seedhey raaste se darbadar iss ne kiyaShehar mein woh moatbir meri gawahi se huwaPhir mujhe iss shehar mein na'moatbir iss ne kiyaShehar ko barbaad kar ke rakh diya iss ne 'munir'Shehar per yeh zulm mere naam per iss ne kiya
Meri Saari Zindagi KoMeri saari zindagi kMeri saari zindagi ko be'samar iss ne kiyaUmar meri thi magar,isko basar iss ne kiyaMain bahut kamzor tha iss mulq mein hijrat ke baadPar mujhe iss mulq mein kamzor'tar iss ne kiyaRehbar mera bana gumraah karne ke liyeMujhko seedhe raaste se darbadar iss ne kiyaShehar mein woh moatbir meri gawahi se huaPhir mujhe iss shehar mein na'moatbir iss ne kiyaShehar ko barbaad kar ke rakh diya iss ne 'munir'Shehar per yeh zulm mere naam par iss ne kiya
Ahista Chal ZindagiAhista chal zindagAhista chal zindagi, abhi kayi karz chukana baki haiKuch dard mitana baki hai, kuch farz nibhana baki haiRaftar mein tere chalne se kuch rooth gaye, kuch chut gayRoothon ko manana baki hai, roton ko hasana baki haiKuch hasratein abhi adhuri hain, kuch kaam bhi aur zaruri haiKhwahishein jo ghut gayi iss dil mein unko dafnana baki haiKuch rishte ban kar toot gaye, kuch judte-judte chut gayeUn toote-chute rishton ke zakhmon ko mitana baki haiTu aage chal main aata hun, kya chhod tujhe jee paungaIn saanso par haq hai jinka, unko samjhana baki haiAhista chal zindagi abhi kayi karz chukana baki hai
Tu Nahi To Zindagi MeinTu nahi to zindagi meiTu nahi to zindagi mein kya reh jayegaDoor tak tanhaiyon ka silsila reh jayegaDard kee sari tahe aur saare guzre hadseSab dhuan ho jayenge ek waakiya reh jayegaYun bhi hoga wo mujhe dil se bhula dega magarYe bhi hoga khud usi mein ek khala reh jayegaDayre insan ke inkar ke iqrar kee sargoshiyaYe agar kabhi toote to fasla reh jayega